
raat mein aati hai aawaaz
woh aawaaz
seher me bhi sun sakta hun mai
woh aawaaz
lafzon ko dhundta rehta hun mai
ki kya kehti hai woh aawaaz
sun sakta hun mai ki
kuch kehna chahti hai woh aawaaz
koshish bhi karni chahi kayi baar
ki mil jaye mujhe woh aawaaz
par samajh nahi paata ki
kya samjhana chahti hai woh aawaaz
kal uski tasveer ko dekha jab maine
phir se najaane kaise aayi woh aawaaz
maine kaha usey
ruk jaa ae aawaaz
tham gayi us pal woh aawaaz
socha ki karun maloom
kya kehti hai yeh aawaaz
meri aankhen thi
aankhon ke aansu the
aankhon se aansu
gir rahe the dil par
aur aa rahi thi
aawaaz
