
subah subah ki un chahton me
ki shayad roshni laayi hai ek nayi mithaas
us naye raaste ki saundhi khushboo
kaash ghul jaye is zehen mein....
aasman me dikhta nahi kuch
par ye raat toh nahi
humne maanga nahi toh kya
kya jazbaat kuch aur nahin
aankhon me uski ab bhi hai
woh jahaan hamara
laakhon sapne na sahi
inteha ek ab bhi hai
aankhen uski hi sahi
palken hamari nam ab bhi hain
din badh raha hai
par waqt kyun hai thehra
chahe yeh dil na chahe
par zindagi par laga hai woh pehra
dil me fir bhi basa hai jaane kaise woh chehra.........
ab bas bata de ae khuda
manzilon aur raaston ki duniya me
kya aukaat hai hamari
kabhi mil payegi koi manzil
ya raaston me guzar jayegi zindagi saari...........
